Untitled Note
By: Anonymous6/17/20222 views Public Note
Bhtt lambi hai or complicated bhi hai to free hoke pharna ok
Acha to kako dheiko ya baat bhtt hi zayada private hai ya baat aj tk kisi ko nahi pata even ke mera ghar walo ko bhi nahi pata is chez ka
Aj se taqriban 7 saaal phalay ma asa hi internet surf dheik raha tha to games to ma khalta hota tha tb bhi? us time na 2 games trend krti hoti thi dragon city or 8 ball pool ya top trend ma hoti thi duniya pagal thi indono ke picha. Mujy na aik hack pata tha in games ka jis se coin milty thy ingame qk is game ma coin khareenda hota thy or wo Pakistan ma bhtt mehanga milty thy ma na logo ko coin hack kr ke daita tha bhtt hi km price ma jasa 500 ke 10000 coins or ma paisa nahi layta tha ma inlogo se steam pe game redeam code lai laita tha taka mera bhai ko shak na ho ke ma koi kam krta ho asa hi krty krty mujy aik banda mila qk tb ma 11 saal ka tha to na mera pc acha tha na mic tha lkn hackers ki basic info pata hoti thi mujy ma jis se bhi baat krta tha aik software hota tha teamspeak us ki madad se chat krta tha mera vpn humesha connect hota tha ustime to ptcl tha ghar ma jo ke mra hua hota tha ma vpn Bangladesh ka lagata tha ta ke meri ip adress kisi ko pata na chaly sub ko lagta tha ke ma Bangladesh se hu qk mera connection humesha usi se retha tha asa hi ma mila aik banda se bigra name tha uskawo hacker tha real wala ya job krta tha PBW ma Pakistan dark web yaha wo hota hai jo ma bata nahi sakta apko ya samj lain dark web ki aik shakl hai is banda na meri zindi barbad bhi ki achi bhi ustime bht achi ki isne lkn usi month ma barbad bhi kr di thi mera apna name ustime jo batiya tha wo tha ajnabi ? sounds funny lkn hacker ke liya bhtt acha tha ya name isne mujy name diya physo mujy acha laga mana apna name physo rak liya ab ma asa hi coin hack krta raha lkn ma deal abhi bhi paiso ki nahi krta tha qk mera koi account nahi tha ustime to shaid easypaisa bhi nahi tha bank hota tha agr ma bank ma dalwata to baba ko pata chalta to mostly mera ya scene off hojata joke ma ustime nahi chata tha ke asa wsa koi scene ho qk mujy inlogo ma maza aaraha tha ajeeb tha ma bhtt physo logo ko itna acha laga qk ma sirf kam krta tha or kuch nahi zayada information nahi laita tha kuch bolta nahi tha kisi na mujy dheika tk nahi tha to begra ko ma sai banda laga uske kamo ke liye kisi ko meri age bhi nhi pata thi to begra na mujy PBW ma asa manager job dai di jo ke strange thi mera liye qk ma sirf coins hack krta tha jb ma manager bana to ma taraqi dheik ke kush hogaya bacha to tha ma? mujy mera aik personal code mila jis dheik ke ma kuch hogaya wo tha "scraper 142" ma to heavy hogaya ya sub dheik ke lkn phir hua kahanai ma twist begra na mujy account hack krna sheekaya mana 3 din ma hack krna sheeka ustime bhtt easily hojaty thy mana 3 account hack kiya Pakistan ke mujy nahi pata tha ke jo account ma hack krna ja raha hon usse kya hoga mana apko jasa batiya ke ma sawal nahi pouchta hota tha lkn 2 din baad mujy pata chala jin ke mana account hack kiya unlogo na account ke sath card attach kiya hua tha or wo card use kiya begra na hr card ma se usne 30 30 hazar use kiya us time jis din mujy ya pata chala mana usi din ya sub chora jitna accounts tha sub delete kiya ghar walo se kha kr kisi thara internet band krwa diya or apna pc tor diya jo ke jasa bhi tha farig tha lkn mujy jaan se piyara tha mana chat pr uske motherboard ko aag lagyi taka sub kuch jal jaye or ghar wlao ko ya bole ke lite zayda aye or jal gaya sub ne yakeen kr liya us din 2 log maray aik physo or mera zameer wo din or ajka din mana physo ko khatam kr diya koi is name ka user tha hi nahi mana 2 saaal koi pc laptop use nahi kiya qk ma darta tha apna kisi social account pe apni pic ajtk nahi lagyi or aj bhi nahi lagata qk jb ma PBW ma tha to yaha kuch asi pictures thi jo log gadar thy yani agr tum PBW jaty ho to wahi ke hojow nahi to jaan se jow apna shaid dheika hoga 2011 ma Karachi ma halat bhtt kharab thy jo log hacker thy karachi ma unho na apna data diya hua tha unme kuch na PBW chorna chaha to unha khatam kr diya gaya mana shaukr hai galat diya hua tha wrna aj ma na hota yahi reason hai ma kahi apni pic or real name zayda use nahi krta wasy ab pakra jana ke chance nahi hai koi lkn phir bhi mujy dar lagta hai meri khar hai mana jo kiya uski saza maut hi hai lkn meri family ka dar hai mujy
To itni lambi kahani phar ke ap souch rahi hongaye ke isse mera kl hospital jana ka kya talaq to scene ya hai ke jin 3 bando ki mana gmail hack ki thi ma unlogo ko picha 3 saal se dhund raha hon yaad hai clg ke end ma aksr chutti kr laita tha hr haty ma aik to wo isi waja se krta tha qk ma pura din inlogo ko inki usi email se dhundta tha alhumdulillah 2 log mil gaye thy aik month phalay mila multan ma aik 2 3 hafto phalay mila ustime inke account se 30 hazar liye thy wo ajke date ma 50 hazar tk banty do logo ko to dai diya kl raat mujy 3 wala ka kuch pata chala ke jis din uske sath scam hua tha ya usi din uske ghar death hogaye ab mujy raat ko ya laga ke wohi banda mr gaya hoga 24 September 2012 ko qk sadma to laga hoga isi waja se ma tension ma aagaya bhtt ke ab to gaye qk uski death meri waja se hui lkn shukr hai dupar ko pata chala ke us din uske mother ki death hui thi cancer ke waja se wo banda abhi zinda hai bss usko paisa dainy hain
Mana bhtt galat kiya tha or uska pachtawa ajtk horaha ha ma apko bolta tha na ke abhi ap nahi janti ma kon hon to ab ap mujy bhtt haad tk janti ? ma bilkul bhi acha nahi hon
bss ab whatsapp pe ajana agr kuch pouchna hoto bss ya scraper 142 mt likna kahi qk ya code word hai